chakkarvayuh
suraj ugna bhool gaya
baadlon ke jangle mein_
rasta bhatak gaya.
baadlon ka-yeh kaisaa shadyantra hai ?
suraj ko bandi banaa liya-
kis chakkarvayuh mein fasa diya?
tum hum bhi tanik sambhalen
apni khushiyon ko-bhatkane na den
kisi chakkarvayuh mein...................
fasne na den .
chehare ki muskaan
uddasi ke jangle mein na bhatak jaayen
yeh kam ujle din-----------
apni muskaan se...kuchh aur ujjla banaa lein .
dikhataa nahi hai suraj-
per iska aabhaas saa hai
khushi aur muskaan ka ehsaas banaa kar rakhna hai--
yeh lambaa antraal---din raat ki aankh michauni saa.